After earning 500 Crore Antarctica Dollars (i.e. 0.05 INR) for my poem,
Plumber Chipkali, here is the not so anticipated sequel to the same, 'Kabootar
Jackson'.
Kabootar Jackson, ye hai, Kabootar Jackson,
Tumhe pata nahin par ye bada funny hai pigeon,
Kabootar Jackson, ye, Kabootar Jackson.
Ye Moon-Walk nahin, Munder-walk kare,
Ye Beat It nahin, ye Beet It kare,
Annie naam ki billi se pooche, 'Are You Okay?’
Thriller-Thriller ye matkaye apni kamar,
Kabootar Jackson, ye, Kabootar Jackson.
Trump ke baalo mein isne banaya ghosla,
Putin se banvake isne Poutine hai piya,
Modi se zyada countries ye ghum hai chuka,
Pigeon ho kar bhi kabhi Pigeonhole na hua,
Ye all-rounder, iski pooja kare Kim Jong-Un,
Kabootar Jackson, ye, Kabootar Jackson,
Tumhe pata nahin par ye bada funny hai pigeon.
Bas Iske dil mein ek hi khwaish ye kahe usko,
‘Tum meri jaan ho, o mere mitro,
Tumhe pehli baar dekha to main ho gaya fida,
Mere pankh phadphadaye, kare dhak-dhak jiya,
Par SC ne jabse Section 377 phirse lagu hai kiya,
Main tumhe shaadi ke liye propose naa kar saka,
LGBT keval insaan nahin, pigeon bhi hote hain,
Do sabko equal rights pyaar karne ka to,
Pride Rally mein Trudeau se zyada failaunga tashan’,
Kabootar Jackson, ye, Kabootar Jackson.
Naa lena mujhse panga,
Main hu extreme banda,
Mujhe samajh aati hai Munshiji ki Godaan aur Gaban,
Aur maine ulti kari hai dekhke Devgn ki Action Jackson,
Main Kabootar Jackson, main Kabootar Jackson.
Tumhe pata nahin par main bada funny hu pigeon.
No comments:
Post a Comment